Puri duniya chahti hai ki unke pas koi aisa ho jisme koi khamiyan na ho.. Par kaise samjhye duniya ko ki khamiyan hi hai khubsurati.
Kyu chahiye kuch aisa jisme koi bhi kami na ho!!
Akhir kamiyo se hi toh kuch pane ki zidd hoti hai khud mein..
Aisa nahi hai ki sab ko apne kamiyo pe naaz hai.. Lekin Shayad yeh nahi pata ki yehi kamiya hi hai jo hum sab ko ek dusre se alag banate hai..
Agar khamiyan hona ek galat baat hai toh kabhi tute hue ek sitare ko, ek tute hue dil ke insaan ki kahani ko ek bar dekh aur sun lena.