4
(2)
Woh shaks apne parivaar se phele humara khayal rakhta hain,
Woh shaks tab chitti aur ab video call pe apno se baat karta hain.
Usey bhale hi goli lagey
Lekin humari raksha zaroor karta hain.
Ye safar hain Indian Army ka jinke liye apno se badhke ye desh ke nagrikon ki chinta hain.
Hum bhale hi aram sotey rehte hain,
Unhe toh din raat ek karke jaagna padhta hain.
Thodi thand aur barish kya hojaye hum sweater aur jacket pehenlete hain.
Woh robos thodi hain,
Insaan toh woh bhi hain!
Chahey apne har ek angh angh se unka khoon beh jaye
Lekin chahat unki yahi hoti hain,
Ki tirangaa hamesha leherta rahe.
Humey kuch bhi naa hoo ye dimag rakhtey hue apne parivaar ki ek nahi sochtey;
Khoon ke rishtey tood jatey hain
Apna khoon bahakar humare desh ki raksha karte hain.
Chahey unki bivi apne phele bache ko pregnant kyun ka hoo,
Unhe desh ki parwaah us masoom se zada hoti hain.
Aur hum chain ki neendh ke sath sath aaj aram se baithe hain toh unhi ki wajah se hi hain.
Unke training k wakt pasine ke boondh se leke jung e maidaan pe unke khoon ke boondh tapakne tak!
Jailianwala bagh ke safar se leke kargil war tak,
Mumbai 26.11 ke terror attack se leke URI the surgical strike tak!
Kahi sipahi shaheed hue!
Kafan pehen kar ye apni puri zindagi jeetry hain
Aur hum? Koi bhi risk wala kaam karne se phele 2 bar sochtey hain.
Jaise humare liye ek paida hua chotasa bacha hota hain, aur hum usey kitne naazon se aur pyaar se paalke bada karte hain;
Waise hi sipayi iss desh ki raksha karte.
Fark?
Fark bass itna hain ki bacha bada hoo jata hain aur Indian army? Apni jaan kurbaan hone tak apne desh ko sarankhon pe rakhte hain.
Woh har ek desh ke nagrik ko jaantey tak nahi lekin aise jaan dene hazir rehte hain jaise koi apna hain.
Aur hum? Inhe apna maantey tak nahi.
Ye rishta bilkul one sided love ki tarah hain,
Hum desh ke nagrik inhe kabhi itni ihemiyat dete nahi aur wo? Humare liye jaan dene hamesha hazir hotey hain.
Woh kar atey hain humare liye har maidan fateh
Aur humein uski bhanak bhi lagne nahi dete.
Itni saadgi se zindagi guzaartey hain woh,
Bass ek hi aas hoti hain unhe ki jaake apne pariwaarnse kaayi saal mein atleast ek bar toh mile.
Family photo kamm aur family time zada bitaane ki asha rakhtey hain ye.
Adhe se zada siphayi toh apne aulaad ki pheli cry aur pheli smile bhi miss kar gaye hain!
Bivi ko pregnant dekhne ke baad directly bache ko I am 5 years old kehte hue dekhe hain.
Sache ansoo shadi ke mantap ne nahi,
Railways station aur airport ne witness kiye hain.
Long distance relationship ka perfect example actually Indian Army walon ka hona chahiye.
Hain na?
Voting Section
Click on a star to vote.
4 / 5. Vote count: 2
No votes so far! Be the first to rate this post.